So here it goes....
Itna kuch toh hai iske paas,
Phir bhi udaas kyon rehta hai yeh dil.
Koi toh hai jo nahi hai is dil ke paas,
Kyon har waqt usko dhoondta rehta hai yeh dil.
Kaha chupa hai woh, kyon nahi aata saamne woh mere,
Bas yahi sawaal khud se poochta rehta hai yeh dil.
Kehte hai is jahan mean har kissi ke liye koi hai,
Lekin phir bhi kyon is baat ko manne se darta hai yeh dil.
Itni bheed mein bhi kyon itna tanha hai yeh dil
Kyon har waqt akele-pan se ghut raha hai yeh dil.
Humesha bura hota hai iske saath,
Lekin kabhi kissi ka bura karne ki chahat nahi rakhta hai yeh dil.
Lekin kabhi kissi ka bura karne ki chahat nahi rakhta hai yeh dil.
Duniya kehti hai ki yeah ek accha insaan hai,
Phir kyon khud ko bura banane ki chahat rakhta hai yeh dil.
Ek taraf toh sabse kehta hai ki pyaar bakwaas hai,
Phir kyon kissi se pyaar karne ko machalta hai yeh dil.
Kyon yeh dil poochta hai ki iske jeene ka maqsad kya hai,
Kyon iska koi jawaab dhoond nahi pata hai yeh dil.
Khud ke wajood ka thikana hai,
Kyon duniya ko badalne ki chahat rakhta hai yeh dil.
Jab dekhta hai yeh samaj ki buraiyon ko,
Aur jab kuch kar dikhana ka jazba uthta hai ismein,
Kyon tab kuch kar nahi paata hai yeh dil.
Duniya kehti hai ki yeh ek 10 saal ke bacche jitna naadan
hai,
Aur ek 60 saal ke buddhe jitna gambheer aur zimmedaar hai,
Kyon nahi apni umar jitna soch paata hai yeh dil.
Waise hai bada majboot yeh, rakh sakta hai sabhi ka khyaal,
Phir kyon khud ka khyaal rakhne waale kissi ki chahat karta
hai yeh dil.
Hairaan hai, pareshan hai, nadaan hai, kahin khoya hua hai,
Bas apne hone ka matlab dhoonda rehta hai yeh dil.
Yeh dil, yeh dil, yeh dil….
No comments:
Post a Comment